Wo Yaad!!

Wo kashish jo mujhe har lamha aapki aur kheench laati hai..

Wo kashish jo aapki hansi mein jhalak jaati hai..

Wo kashish jo aapki nazron se pukaar jaati hai…


Wohi kashish tanhaai mein yaad ban kar fir aati hai...

Wohi yaad muskurahat ban ke bikher jaati hai..

Aur wohi muskurahat dil ko behla ke keh jati hai...


Mujhe yakeen hai... jab hum phir kabhi milenge...

Har ek nazakat, har ek ada mein..

Wohi kashish phir se jhalkegi.


Humen intazaar rahega Woh lamonh Ka...

Jo humen naye tajarbe se matarf karwati hai...

Comments

Popular Posts